Friday, May 11, 2012

Baba


न किसी को रूठने का मौका दिया 
न कभी मनाने का 

न कभी पीठ हिमाला बनी
न कभी पेट पर नन्ही उँगलियों से नाम गुदवाये

न कभी सर शान से ऊँचा हुआ
न कभी बोझ से पस्त हुए कंधे

न कभी कोई हाथ गुस्से से उठा
न कभी कोई सर सहम के नीचा हुआ

न कोई नेकनामी किसी का सरमाया बनी
न कभी बदनामी किसी के हाथ लगी

पीढ़ियों के सच को हमने झुठला दिया
न कभी तुम बाबा बन सके, न मैं

Na kisi ko ruthne kaa maukaa diyaa
na kabhi manaane kaa

na kabhi peeth himaalaa banee
na kabhi pet par par ungliyon se naam gudwaaye

na kabhi koi haath gusse se uthaa
na kabhi koi sar sehem ke neechaa huaa

na koi neknaami kisi ka sarmaaya bani
na kabhi badnaami kisi ke haath lagi

Peedhiypn ke sach ko humne jhuthlaa diyaa
na kabhi tum baba ban sake, na main

Thursday, May 10, 2012

Tamasha



घर बदला, शहर बदला, ठिकाना वही रहा
मैं जहां भी रहा, मेरा पता वही रहा

दुनिया आइनों की, दरो दीवार आईने
आइनों के बीच, मेरा चेहरा नहीं रहा

यूँ तो दुनियादारी भी ज़रूरी है
पर इस की फ़िराक में, परीशा ही रहा 

लोग आये गए, हुजूम निकल गया 
क़िरदार बदलते रहे, तमाशा वही रहा

तुम सा बनने की पुरज़ोर कोशिश की मैंने
कुछ तुम बदल गए, कुछ मैं वो ही रहा


Ghar badlaa, sheher badlaa, thikaanaa wahi rahaa.
Main jahaa bhi rahaa, meraa pataa wahi rahaa.

Duniyaa aaino ki, daro deewaar aaine.
Aaino ke beech, meraa chehraa nahi rahaa.

Yun to duniyaadaari bhi zaroori hai.
Par iski firaaq mein, parishaa hi rahaa.

Log aaye gaye, hujoom nikal gayaa.
Qirdaar badalte rahe, tamaashaa wahi rahaa.

Tum saa ban ne ki purzor koshish ki maine.
Kuchh tum badal gaye, kuchh main wo hi rahaa.