घर बदला, शहर बदला, ठिकाना वही रहा
मैं जहां भी रहा, मेरा पता वही रहा
दुनिया आइनों की, दरो दीवार आईने
आइनों के बीच, मेरा चेहरा नहीं रहा
यूँ तो दुनियादारी भी ज़रूरी है
पर इस की फ़िराक में, परीशा ही रहा
लोग आये गए, हुजूम निकल गया
क़िरदार बदलते रहे, तमाशा वही रहा
तुम सा बनने की पुरज़ोर कोशिश की मैंने
कुछ तुम बदल गए, कुछ मैं वो ही रहा
Ghar badlaa, sheher badlaa, thikaanaa wahi rahaa.
Main jahaa bhi rahaa, meraa pataa wahi rahaa.
Duniyaa aaino ki, daro deewaar aaine.
Aaino ke beech, meraa chehraa nahi rahaa.
Yun to duniyaadaari bhi zaroori hai.
Par iski firaaq mein, parishaa hi rahaa.
Log aaye gaye, hujoom nikal gayaa.
Qirdaar badalte rahe, tamaashaa wahi rahaa.
Tum saa ban ne ki purzor koshish ki maine.
Kuchh tum badal gaye, kuchh main wo hi rahaa.
5 comments:
Art director. Writer. Film buff. And now, Shayar.
Brilliant. Loved it.
mere jaisse hone ki koshish hi karni thee toh mujhe phele bata dete, i would have given u my diet plan!
bahut umda likha hai!
@Overthinker: jack of all trade, master of none syndrome of mine! :P
@Confused: Thank god, i didnt ask for ur diet plan! :P
@Nikita: shukriya, bhai!
This is SO lovely vimal!
Post a Comment